A Man With Dreams…

* Poetry From My Diary *

Bheega bheega sa yeh december hai

 

Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
Bheega bheega sa december hai

Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
Kuch pyar kay aadhay nagmay
Aadhi pyar ki kahaani..
Aik shehar ka raja..
Aur ek gaon ki rani
Donon baray premi thay
Ban main aaya kartay thay
Unkay pyar kay meethay nagmay
Panchi gaaya kartay thay
Ab na premi hain
Na woh baatain hain
Aur yaadain hi apni kamai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai….

Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
Saaray tera poochain gain
Kahan hai tera poochain gain
Tera premi yaar kahan hai
Saaray tera poochain gain
Kia bataoon ga
Kia kahaani hai
Ab to qismat main apni judai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai…

Shaam dhallay jab panchi
Apnay apnay ghar jaatay hain
Koi mujhay batlayay
Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
Kho na jaye mera panchi
Lekin mujhko darr tha
Mera yeh afsaana hai
Saara yeh afsaana hai
Mera panchi rasta bhoola
Pagal hai anjaana hai
Tu gaya hai to
Mainay jaana hai
Mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai…

Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaad aai hai


December Ab Ke Aao To

December Ab K Aao TO

December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tammana ki khabar laana
ke jismein jugnuon ki kai kehkashaan jhilmilaati hain
jahan titli ke rangon se fazaaein muskuraati hain
wahan chaaron taraf khusbhu wafa ki hai
aur jo usko nazar se choo gaya
pal bher mehek utha
December ab ke aao tou
tum us sheher-e-tammana ki khabar lana
jahan pe rait ke zarrey sitaarey hain
gul-o-bulbul, mehr-o-anjum, wafa ke ista’aarey hain
jahan dil wo samander hai, kai jiske kinaarey hain
jahan qismat ki devi muthiyon mein jagmagati hai
jahan dharkan ki lay per bay-khudi naghma sunati hai
December mat pooch humse hamarey sheher ke baarey
yahan aankhon mein guzrey kaarwan ki
gard thehri hai .. muhabbat barf jaisi hai yahan …
aur dhoop ke khaiton mein ugti hai
yahan jab subha aati hai to .. shub ke
saarey sapney raakh ke dhair ki soorat mein dhaltey hain
yahan jazon ki tooti kirchiyan aankhon mein chubhti hain
yahan dil ke lahu mein apni palkon ko
dabo ker hum sunehrey khuab buntey hain
un khuabon mein jeetay hain
unhi khuabon mein martey hain
dareeda rooh ko lafzon se
seena go nahi mumkin
magar phir bhi
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tamanna ki khabar laana


yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai

mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai

na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai

ajab ye zindagi ki kaid hai, duniya ka har insaan
rihaai mangta hai aur riha hone se darta hai ❤


Use Rokte Bhi To Kis Liye Wo Jo Shehar-e-Dil Tha Ujar Gya

Use Rokte Bhi To Kis Liye

Wo Jo Shehar-e-Dil Tha Ujar Gya

Wo Jo Ek Khawab Tha Bikhar Gya

Kabhi Mosamon Ki Nazar Lagi

Kabhi Wahmon Ne Dara Dia

Kabhi Manzilon K Sarab Ne

Hamen Raste Main Dagha Dia

Kabhi Zindgi Ki Kitab Se

Jis Ne Chaha Mita Dia

Isi Liye To Wo Jo Ja Raha He Door Tak

Use Dekhte Hee Rahe Magar

Nahi Di Sada Is Liye

Use Rokte Bhi To Kis Liye


Waada-e-hoor pe behlaaye hue loag hain hum

Waada-e-hoor pe behlaaye hue loag hain hum,
Khaak bolenge k dafnaaye hue loag hain hum,

Yun her ik zulm pe dum saadhay kharay hain,
Jaise deewar me chunwaaye hue loag hain hum,

Uski her baat pe labbaik bhala kyun na kahen,
Zarr ki jhankaar pe bulwaaye hue loag hain hum,

Jiska jee chaahe wo ungli pe nacha leta hai,
Jaise baazaar se mangwaaye hue loag hain hum,

Hansi aaye bhi to hanste hue darr lagta hai,
Zindagi yun tere zakhmaaye hue loag hain hum,

Aasman apna,zameen apni, na saans apni to phir,
Jaane kis baat pe itraaye hue loag hain hum,

Jis terha chaahe bana le hamen wakt Qateel,
Dard ki aanch pe pighlaaye hue loag hain hum..!!


usse apne farda ki fikar thi,wo jo mera waqif.e.haal tha

usse apne farda ki fikar thi,wo jo mera waqif.e.haal tha
wo jo uski subha urooj thi,wohi mera waqat.e.zaval tha

mera dard kese wo janta,meri baat kese wo manta
wo to khud fana k safar mai tha,usse rokna b mahal tha

wo jo uss k samne aa gaya,wohi roshni mai naha gaya
ajab uski hebat.e.husn thi,ajab uska rang.e.jamal tha

dam.e.wapsi usse kya hua,na wo roshni,na wo taazgi
wo sitara kese bikhar gaya,wo to ap apni misaal tha

kahan jaoge mjhe chor kar,mai ye puch puch kar thak gaya
wo jawab mjhko na de saka,wo to khud sarapa sawal tha

wo mila to sadiyo’n k bad b,mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rula dia,jisse guftagu mai kamal tha

wo jo mjhse mil k tha ro dia,faqat itna hi mjhse keh saka
jisse janta tha mai zindagi mai,wo to sirf weham.o.khayal tha


Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi naheiN

Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi naheiN
mutmain aesa hey wo jesey huwa kuch bhi naheiN

ab to haathoN sey lakeereiN bhi miti jaati heiN
us ko kho kar to merey paas raha kuch bhi naheiN

chaar din reh gaey meiley meiN magar ab ke bhi
us ney aaney ke leeye khat meiN likha kuch bhi naheiN

kal bicharrna hey to phir ehd-e-wafa soch ke baandh
abhi aaghaaz-e-mohabbat hey, gaya kuch bhi naheiN

meiN to is waastey chup hooN ke tamaash na baney
tu samajhta hey mujhey tujh sey gila kuch bhi naheiN

aey Shumaar aaNkheiN isi tarha bichaaey rakhna
jaaney kis waqt to aa jaey, pata kuch bhi naheiN!


main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi

main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikaal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-ta’aluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaao, main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh meray dard ko chunti thi apni poron say
woh meray wastay khud ko nidhaal rakhti thi

woh doobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
meray wajood ki naao uchaal rakhti thi

duayen us ki balaaon ko rok laiti thin
woh meray chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun keh nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamaal rakhti thi

usay nadamatain meri kahan gawara thin
woh meray wastay asaan sawaal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hoon “Mohsin”
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

Seher tha naam, ujaaley ghulaam they uskay
Wo zindagi kay andheray ujaal rakhti thi …

Wo mutazir meri rehti thi dhoop mai shayad
Mai laut-ta tha toh chaon nikaal rakhti thi …


ITNA MALOOM HAI ‘ khuwaboin ka bharaam toot gya!

apne bistar pay buhut dair se main naim daraaz
sochti thi wo iss waqt kaha par ho ga
main yaha hon magar uss kucha rang o boo main
rooz ki tarha se wo aaj bhi ayya ho ga
aur jaab uss ne waha mujh ko na payya ho ga !???

aap ko ilm hai’ wo ajj nehi ahi hain ?
meri har dost se uss ne yehi pocha ho ga
kyoun nehi ahi wo- kya baat hohi hai akhir
khud se iss baat pay soo baar wo uljha ho ga
kal wo aaye gi to main uss se nehi boloin ga
aap hi aap ki baar wo rotha ho ga
wo nehi hai to bulandi ka safar kitna kathan
seriyah charte huwe uss ne ye socha ho ga
rah’daari main’ hare laan main’ phoolon ki kareeb
uss ne har samat mujhe aan ke dhounda ho ga

naam bholle se jo mera kehein ayya ho ga
ghair mehsoos tareeke se wo chonka ho ga
aik jumle ko kayi baar sunayaa ho ga
baat karte huwe soo baar wo bhula ho ga
ye jo larki nehi ahi hai’ kehein wo to nehi
uss ne har chehra yehi soch ke decka ho ga
jaane mehfil hai’ magar aaj fakat mere beghair
haye kiss darja wohi bazm main tanha ho ga
kabhi sanatoin se wehshaat jo hohi ho gi usse
uss ne be sackta phir mujh ko pukaara ho ga

chalte chalte kohi manoos se ahaat paa kar
doston ko bhi kissi azer se rooka ho ga
yaad karke mujhe’ naam ho geyi hoin gi palkain
ankh main par gya kuch” keh ke tala ho ga
aur ghabra ke kitabon main jo li ho gi pana
har sater main mera chehra ubhar ayya ho ga
jaab mili ho gi usse mere allalat ki khabar
uss ne aista se deewar ko thama ho ga
soch kar ye ‘ ke behl jaye parshani-e-dil
youin be wajah’ kissi shaks ko rooka ho ga!

itafaakan mujhe uss shaam meri aik dost mili
main ne pocha ke suno- aaye thai wo? kesse thai ?
mujh ko pocha tha? mujhe dhounda tha charoun janab??

uss ne aik lamhe ke liye decka mujhe aur phir hans dii
uss hansi main to wo talkhi thi ke uss ke agay
kya kaha uss ne – mujhe yaad nahi hai- LAKIN
ITNA MALOOM HAI ‘ khuwaboin ka bharaam toot gya!


APNI TASWEER KO ANKHON SE LAGAATA KYA HAI

APNI TASWEER KO ANKHON SE LAGAATA KYA HAI
IK NAZAR MEREE TARAF DEKH TERA JAATA KYA HAI

MEREE RUSWAI MEIN WOH BHI HAIN BARABAR KE SHAREEK
MERE QISSAY MERAY YAARO KO SUNATA KYA HAI

PAAS RAH KAR BHI NA PEHCHAAN SAKA TU MUJH KO
DOOR SE DEKH KE AB HAATH HILATA KYA HAI

ZEHEN KE PARDON PE MAZEL KAHE AULE NA BANA
GHOR SE DEKHTA JA RAAH MAI AATA KYA HAI

SAFAR-E-SHAUK MAI KYUN KAAMPTE HAIN PAAON TERE
AANKH RAKHTA HAI TO PHIR AANKH CHURATA KYA HAI

UMR BHAR APNAY GAREBAAN SE ULAJHNAY WALE
TU MUJHE MERE HI SAAYE SE DARAATA KYA HAI

MAR GAYE PYAAS KE MAARE TO UTHA ABR-E-KARAM
BUJH GAYI BAZM TO AB SHAMMA JALAATA KYA HAI

MAIN TERA KUCH BHI NAHEEN HOON MAGAR ITNA TO BATA
DEKH KAR MUJH KO TERE ZAHEN MEIN AATA KYA HAI

TUJH MAI KASBAL HAI TO DUNIA KO BAHA KAR LE JA
CHAI KI PIYAALI MAI TOOFAN UTHATA KYA HAI

TERI AWAAZ KA JAADU NA CHALE GA UN PAR
JAAGNE WAALON KO SHEHZAD JAGATA KYA HAI


Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena,
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena,

Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hia Ke Nafrat Uski,
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena,

Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena,

Khat Bhi Likhna Use Mayoos Bhi Rehna Usse,
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena,

Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena,

Us se mansoob bhi kar lena puraane kissw,
Uske baalon mai naya phool saja bhi dena,

Surat-E-Naqshe Qadam Me Rehna Mohsin,
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena…


udas dil ki veraniyon men bikhar gay hen gulab sary

udas dil ki veraniyon men bikhar gay hen gulab sary,

ye meri basti se kon guzra nikhar gay hen gulab sary,

wo door tha to haqeeqaton par saraab ka ik guman sa tha,

wo paas hai to gumaan hai k haqeqten hen saraab sary,

najane kitni shikaytain thin najane kitny gilay thay un say,

jo un ko dekha to bhool bathey swal sary jawab sary,

jo wo na hota to kis tarah meri soch ko phir haroof milte,

bas 1 hi zat ne diye hen kitaab ko meri baab saray.


Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen
Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye Tazkare Tere Lutf Ke Hain
Ye Shair Teri Shikayaten Hain

Main Teri Nazar Kar Raha Hun
Ye Un Zamanon Ki Sa’aten Hain

Jo Zindagi Ke Naiy Safar Main
Tujhe Kissi Waqt Yaad Aain

To Aik Ik Harf Ji Uthay Ga
Pehn Ke Anfas Ki Qabain

Udas Tanhaoyon Ke Lamhon
Main Naach Uthen Gi Ye Apsaraain

Mujhe Tere Dard Ke Ilawa Bhi
Aur Dukh The Ye Manta Hun

Hazar Gham The Jo Zindagi Ki
Talash Main The Ye Janta Hun

Mujhe Khabar Thi Keh Tere Aanchal Main
Dard Ki Rait Chanta Hun

Magar Har Ik Baar Tujh Ko Chu Kar
Ye Rait Rang-E-Hina Bani Hai

Ye Zakham Gulzar Ban Gaye Hain
Ye Aah-E-Sozan Ghata Bani Hai

Ye Dard Moj-E-Saba Huwa Hai
Ye Aag Dil Ki Sada Bani Hai

Aur Ab Ye Sari Mata-E-Hasti
Ye Phool Ye Zakhm Sab Tere Hain

Ye Dukh Ke Nohay,Ye Sunk Ke Naghme
Jo Kal Mere The Wo Ab Tere Hain

Jo Teri Qurbat Teri Judai
Main Kat Gaye Roz-O-Shab Tere Hain

Wo Tera Sha’air Tera Mughanni
Wo Jis Ki Baten Ajeeb Si Theen

Wo Jis Ke Andas Khusarwana The
Aur Adaain Gharib Si Theen

Wo Jis Ki Jeene Ki Khahishen Bhi
Khud Us Ke Naseeb Si Theen

Na Pooch Us Ka Keh Wo Dewana
Both Dinon Ka Ujar Chuka Hai

Wo Kohkan To Nahin Tha Lekin
Kari Chatanon Se Larh Chuka Hai

Wo Thak Chukka Tha Aur Us Ka Tesha
Ussi Ke Seenay Main Garh Chuka Hai


wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha,

tamaam hasraten, har ek sawaal dafan kar chuke,
hamare paas ab koi sawaal hi nahi raha,

talaash-e-rizq mai ye shaam yun hi guzar gayi,
koi hai apna muntazir, khayal hi nahi raha,

in aate jaate roz – o – shab ki gardsihon ko dekh kar,
kisi ke hijar ka koi malaal hi nahi raha,

hamara kya bane ga, kuch na kuch to is par sochte,
magar kabhi humen ghum-e-maal hi nahi raha,

sanwaarta, nikhaarta mai kaise apne aap ko,
tumhare baad apna kuch khayal hi nahi raha,

zara si baat par dilon mai itna fark aa gaya,
ta’aluqaat ka to phir sawaal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha….!!!!

 

 

 


b Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain

Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain

Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain

TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?

Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain

Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

 

 

 


Adhoora Khat

Usay maine hi likha tha

K lehjey barf ho jayein
Tou phir pighla nahi kartey

Parinday dar k urr jayin
Tou phir lota nahi kartay

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tu shayed
Kabhi wapis nahi aata

Hawaon ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata

Usay maine hi likha tha
K sheesha toot jaye tou
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Woh wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be`maani adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay
Mukammal khat nahi likhtay…

 

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´


Us Ka Apna He Karishma Hai

Us Ka Apna He Karishma Hai, Fasoon Hai, Yoon Hai
Yoon To Kehney Ko Sabhi Kehtey Hein Yoon Hai, Yoon Hai

Jesey Koi Dar-E-Dil Per Ho Satada Kab Se
Aik Saaya Na Daroon Hai, Na Baroon Hai, Yoon Hai

Tum Ne Dekhi He Nahi Dash-e-Wafa Ki Tasweer
Nook-e-Her Khaar Pe Ik Qatra-E-Khoon Hai, Yoon Hai

Tum Muhabbat Me Kahaan Sood-O-Ziyaa’n Ley Aaye
Ishq Ka Naam Khirad Hai, Na Janoo’n Hai, Yoon Hai

Ab Tum Aye Ho Meri Jaan Tamasha Kerney
Ab To Darya Me Talatum, Na Sakoon Hai, Yoon Hai

Nasihaa Tujh Ko Khaber Kia K Muhabbat Kia Hai
Rooz Aa Jata Hai, Samjhata Hai, Yoon Hai, Yoon Hai

Shairy Taza Zamanoon Ki Hai Memaar Faraz
Yeh Bhe Ik Silsila-E-Kunn Faya koo’n Hai, Yoon Hai
—————————–

—————————–
اُس کا اپنا ہی کرشمہ ہے ، فَسوں ہے ، یوں ہے
یوں تو کہنے کو سبھی کہتے ہیں ، یوں ہے ، یوں ہے

جیسے کوئی درِدل پر ہو ستادہ کب سے
ایک سایہ نہ دَروں ہے ، بَروں ہے ، یوں ہے

تم نے دیکھی ہی نہیں دشتِ وفا کی تصویر
نوکِ ہر خار پہ اِک قطرہءِ خوں ہے ، یوں ہے

تُم محبت میں کہاں سُود و زیاں لے آئے
عشق کا نام خِرد ہے نہ جَنوں ہے ، یوں ہے

اب تم آئے ہو میری جان تماشا کرنے
اب تو دریا میں تلاطم نہ سکوں ہے ، یوں ہے

ناصحا تُجھ کو خبر کیا کہ محبت کیا ہے
روز آجاتا ہے سمجھاتا ہے کہ یوں ہے ، یوں ہے

شاعری تازہ زمانوں کی ہے معمار فراز
یہ بھی اِک سلسلہءِ کُن فَیَکوں ہے ، یوں ہے


Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian

Un Per Tou Farz Hain Mere Harfon Ke Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian

Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian

Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian

Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian

Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian

Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian


AGAR KABHI MERI YAAD AAYE…

AGAR KABHI MERI YAAD AAYE…
TO CHAND RATOON KI NURM DILGEER ROSHNI MAIN

KISI SITAREY KO DAIKH LAINA
AGAR WOH NAKHL-E-FALAK SE URH KAR

TUMHAREY QADMOON MAIN AA GIREY TO
YEH JAAN LAINA, WOH ISTA’AARA THA MERE DIL KA

AGAR NA AAYE…

MAGAR, YEH MUMKIN HI KIS TARAH HAI
KAY TUM KISI PAR NIGAAH DALO

TO USS KI DIWAR-E-JAAN NA TOOTEY…
WOH APNI HASTI NA BHOOL JAYEY…

GURAIZ KARTI HAWA KI LEHROON PE HAATH RAKHNA
MAIN OOS QATROON KAY AAINOON MAIN TUMHAIN MILOON GA,

MUJHE GULABOON KI PATTIYOON MAIN TALASH KARNA
AGAR SITAROON MAIN, OOS QATROON MAIN,

KHUSHBO’OON MAIN NA PAO MUJH KO,
TO APNE KADMOON MAIN DAIKH LAINA

MAIN GURD HOTI MUSAFATOON MAIN TUMHAIN MILOON GA
KAHIN PEY ROSHAN CHIRAGH DAIKHO, TO JAAN LAINA

K HAR PATINGAY KAY SAATH MAIN BHI BIKHAR CHUKA HOON
TUM APNEY HAATHOON SEY IN PATINGOON KI,

KHAAQ DARYA MAIN DAAL DAINA…
MAIN KHAAQ BAN KAR SAMANDAROON MAIN SAFAR KAROON GA,

KISI NA DAIKHEY HOYE JAZEERAY PE,
RUK K TUM KO SADAIN DOON GA

SAMANDAROON K SAFAR PE NIKLO TO USS JAZEERAY PE BHI UTARNA…

~AMJAD ISLAM AMJAD~


Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2
o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do – 2
mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai – 2

patjhad hai kcuh … hai na ?
o ! patjhas main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai
vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do – 2

ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the – 2
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee
geela man shayad bistar ke paas pada ho
vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do

ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til – 2
geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do – 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee
main bhi vaheen so jaungee
main bhi vaheen so jaungee


Khumaari Chadh Ke Utar Gayi

(khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi) – 2
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
haath magar kutch aaya nahi) – 2
kehne ko apne the saathi kai
saath kisine nibhaya nahi – 2
koi bhi hamsafar nahi
kho gayi har dagar kahi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(logon ko aksar dekha hai
ghar ke liye rote hue) – 2
ham toh magar beghar hi rahe
gharwalon ke hote hue – 2
aaya apna nazar nahi – 2
apni jahaa tak nazar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(pehle toh ham sun lete the
shor mein bhi shehnaaiya) – 2
ab toh hamko lagti hai
bheed mein bhi tanhaaiya
jeene ki hasrat kidhar gayi – 2
dil ki kali bikhar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi


Zindagi se darrte ho? Zindagi to tum bhi ho

Zindagi se darte ho
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Aadmi se darte ho
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai

Harf aur maani ke rishta haaye aahan se
Aadmi hai waabasta
Aadmi ke daaman se zindagi hai waabasta
Us se tum nahi darte ho

Ankahi se darte ho
Jo abhi nahi aayi
Us gharri ki aamad ki
Aagahi se darte ho
Tum abhi se darte ho

Pehle bhi to guzre hain
Daur na rassai ke
Be-riya khudaai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzumandi
Yeh shab e zubaan bandi
Hai rah e khudaawandi
Tum yehi samajhte ho

Tum mager yeh kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
Haath bol uthte hain
Subh ki azaan ban kar

Roshni se darte ho
Roshni to tum bhi ho
Roshni to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Raah- e- shauq mein jaise
rahru ka khoon lapke
Ek nayaa junoon lapke
Aadmi chhalak uthe
Aadmi hanse dekho
shaher phir base dekho
Tum abhi se darte ho


Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaon

 

Tujhey kho kar bhi tujhay paaoon jahan tak dekhun
Husn-e- yazdan sey tujhey husn-e-butan tak dekhun
tu ney yun dekha hai jaisay kabhi dekha hi na tha
Main to dil men teray qadmon k nishaan tak dekhun
Sirf iss shoq sey poochi hain hazaaron baatein
Main tera husn, teray husn-e-bayan tak dekhun
Meray veerana-e-jaan mai teri yaadon k tufail
Phool khiltay nazar aatay hain, jahan tak dekhun
Waqt ney zehan men dhudhla diye teray khad-o-khaal
Yun to main toot’tay taaron ka dhuwan tak dekhun
Dil gaya tha to yeh aankein bhi koi lay jata
Main faqt aik hi tasveer kahan tak dekhun
Ik haqeqat sahi, firdos men huuron ka wajood
Husn-e-insaan sey nimatt lun to wahan tak dekhun

 


Suna Hai Is Jahan Mai

Suna Hai Is Jahan Main Zindagi Ki Qeht Sali Hai,
Yahan Do,Char Din Jeeny Ka Aksar Zikar Hota Hai,
Yahan Har Cheez Fani Hai, 
Sabhi Ko Moat Aani Hai,
Yahan Izhar Kya Karna,
Yahan Par Pyar Kya Karna…?
Magar Kuch Yun bi Sunta Hon,
K Aisa Ik Jahan Hoga,
K Jis Main Moat Aanay Ka Koi Dharrka Nahi Hoga,
Hayat-E-Javeda’n K Sab Wahan Asbab Rakhy Hain,
Yah Mera Tum Say Wada Hai,
Aagar Donon Wahan Mil Gay,
Wahin Iqrar Kar Lain Gay,
Wahin Izhar Kar Lain Gay,
Wahin Phir Pyar Kar Lain Gay…