A Man With Dreams…

Meena Kumari

puchte ho to suno kaise basar hoti hai

puchte ho to suno kaise basar hoti hai
rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai

sans bharne ko to jina nahin kahte ya rab
dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai

jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab
rat is tarah diwanon ki basar hoti hai

gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai

ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu
kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai


ye rat ye tanhai

ye rat ye tanhai
ye dil k dharakne ki awaz
ye sannata

ye dubte taron ki
khamosh gazalkhwani
ye waqt ki palkon par
soti hui wirani
jazbat-e-muhabbat ki
ye akhri angrai
bajti hui har janib
ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum a jao
band hoti meri ankhon main
muhabbat ka
ik Khwab saja jao


chand tanha hai asman tanha

chand tanha hai asman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha

bujh gai as chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha

zindagi kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jan tanha

hamsafar koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe tanha tanha

jalti bujhti si raushani k pare
simta simta sa ek makan tanha

rah dekha karega sadiyon tak
chor jayenge ye jahan tanha


agaz to hota hai anjam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota

jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota

hans hans k jawan dil k ham kyon na chunen tukre
har shakhs ki qismat main inam nahin hota

bahte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

din dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota


ablapa koi is dasht main aya hoga

ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga

zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga

pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga

mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga

khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga


yun teri rahguzar se diwana war guzre

yun teri rahguzar se diwana war guzre
kandhe pe apne rakh k apna mazar guzre

baithe rahe hain rasta main dil ka khandar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahar guzre

bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare
koi to par utre koi to par guzare

tu ne bhi ham ko dekha hamne bhi tujhko dekha
tu dil hi har guzra ham jan har guzre