A Man With Dreams…

ahmed faraz

Aside

Ye dunya gum to deti hai shareek-e-gum nahi hoti kisi k door jany se mohabat kam nahi hoti

Ye dunya gum to deti hai shareek-e-gum nahi hoti
kisi k door jany se mohabat kam nahi hoti


Aside

Faraz tujh ko na aayin muhabbaten karni

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
‘Faraz’ tujh ko na ain muhabbaten karani

ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa’aten karani

koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni

sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani

ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani

milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani

ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani

kabhi ‘Faraz’ naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani


Aside

Usne mujh chor dia to kia hua Faraz Mane bhi to chora tha sara jahan us k liye

Usne mujh chor dia to kia hua Faraz
Mane bhi to chora tha sara jahan us k liye


Aside

?Faraz? Zulm Hy Itni Khud-Aitmadi Bhi

?Faraz? Zulm Hy Itni
Khud-Aitmadi Bhi

k Raa Bhi Thi Andheri
Aur Chiraag Bhi Na Lia


Aside

tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto

tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto

kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto

apne siva hamare na hone ka gam kise
apni talash main to ham hi ham hain dosto

kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto

is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto

sab kuch sahi ‘Faraz’ par itna zarur hai
duniya main aise log bahut kam hain dosto


Aside

Tera na ho saka to mar jaunga ?Faraz?, kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.

Tera na ho saka to mar jaunga ?Faraz?,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.


Aside

Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz, Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..

Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz,
Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..


Aside

bhala hathon ki lakeerain bhi mit?ti hain Faraz kitna pagal hai mera naam mitanay wala

bhala hathon ki lakeerain bhi mit?ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala


Aside

Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n, Abhi abhi woh geya hai magar zamaana hua..

Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n,
Abhi abhi woh geya hai magar zamaana hua..


Aside

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo ‘Faraz’ kaa sa


Aside

Tjhy bholny ki koshish karun ga

Tjhy bholny ki koshish karun ga main Faraz
ho saky to tum b mujhy yaad na ana


Aside

Jiska tum puchte ho wo mar gaya ?FARAZ?, Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya???.

Jiska tum puchte ho wo mar gaya ?FARAZ?,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya???.


Aside

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Makan Hai Tera Kuch Yu Khayal kar.


Aside

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia

“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia


Aside

Malaal

Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hay
K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hay

Har Aik Lab Pe Hay Meri Wafa K Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Lazawal Hona Hay

Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jao Gay
Tumharay Hijar Main Ik Lamha Sal Hona Hay

Humari Rooh Pe Jaab Bhi Azaab Otrain Hay
Tumhari Yaad Ko Is Dil Ki Dhaal Hona Hay

Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bahoon Main
Kabhi To Us Ki Hansi Ko Zawal Hona Hay

Milay Gi Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hay Kab Yeh Kamal Hona Hay

Har Aik Shaks Chalay Ga Humari Rahoon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hay

Zamana Jis K Kham-O-Peech Main Olajh Jaye
Humari Zaat Ko Aisa Sawal Hona Hay

Yaqeen Hay Mujh Ko Woh Loot Aye Ga
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hay


Aside

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili


Aside

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?

Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?


Aside

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?

TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere

Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere

Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere

Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere

Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere

TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere

Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere


Aside

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe

Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe

Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe

Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe

Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe


Aside

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha ‘Faraz’

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha ‘Faraz’
Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay…!!


Aside

ye kya ke sab se bayaan dil ki haalaten karni Faraz tujh ko na aayin muhabbaten karni.

ye kya ke sab se bayaan dil ki haalaten karni

Faraz tujh ko na aayin muhabbaten karni.


Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen
Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye Tazkare Tere Lutf Ke Hain
Ye Shair Teri Shikayaten Hain

Main Teri Nazar Kar Raha Hun
Ye Un Zamanon Ki Sa’aten Hain

Jo Zindagi Ke Naiy Safar Main
Tujhe Kissi Waqt Yaad Aain

To Aik Ik Harf Ji Uthay Ga
Pehn Ke Anfas Ki Qabain

Udas Tanhaoyon Ke Lamhon
Main Naach Uthen Gi Ye Apsaraain

Mujhe Tere Dard Ke Ilawa Bhi
Aur Dukh The Ye Manta Hun

Hazar Gham The Jo Zindagi Ki
Talash Main The Ye Janta Hun

Mujhe Khabar Thi Keh Tere Aanchal Main
Dard Ki Rait Chanta Hun

Magar Har Ik Baar Tujh Ko Chu Kar
Ye Rait Rang-E-Hina Bani Hai

Ye Zakham Gulzar Ban Gaye Hain
Ye Aah-E-Sozan Ghata Bani Hai

Ye Dard Moj-E-Saba Huwa Hai
Ye Aag Dil Ki Sada Bani Hai

Aur Ab Ye Sari Mata-E-Hasti
Ye Phool Ye Zakhm Sab Tere Hain

Ye Dukh Ke Nohay,Ye Sunk Ke Naghme
Jo Kal Mere The Wo Ab Tere Hain

Jo Teri Qurbat Teri Judai
Main Kat Gaye Roz-O-Shab Tere Hain

Wo Tera Sha’air Tera Mughanni
Wo Jis Ki Baten Ajeeb Si Theen

Wo Jis Ke Andas Khusarwana The
Aur Adaain Gharib Si Theen

Wo Jis Ki Jeene Ki Khahishen Bhi
Khud Us Ke Naseeb Si Theen

Na Pooch Us Ka Keh Wo Dewana
Both Dinon Ka Ujar Chuka Hai

Wo Kohkan To Nahin Tha Lekin
Kari Chatanon Se Larh Chuka Hai

Wo Thak Chukka Tha Aur Us Ka Tesha
Ussi Ke Seenay Main Garh Chuka Hai


Aside

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay

Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay

Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay

Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay

Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay

Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay

Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay

Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay


Chandni Raat Ko Saher Kehna Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,

Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,

Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,

Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,

Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,

Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,

Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.