A Man With Dreams…

– Pakistan Shayri –

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai

mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai

na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai

ajab ye zindagi ki kaid hai, duniya ka har insaan
rihaai mangta hai aur riha hone se darta hai ❤


Nisar main teri galliyon kay aey wattan

Nisar main teri galliyon kay aey wattan,
Ke jahan chali hai rasm ke koi na sar utha k chalay…