A Man With Dreams…

Farhat Abbas Shah

Aside

Humsafri ka bojh uthana parta hai

Humsafri ka bojh uthana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,

Hum jese awaara dil logon ko bhi,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,

Kabhi kabhi ik dard bhari siskaari se,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,

Sanattey mehfooz rakhe hain seeney mein,
Weeraani ka hath battana parta hai,

Pehle karna parta hai ik jungle saaf,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,

Roz humain yadon ke ghaur samandar mein,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,

Pardon ka ik khail sajaana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,

Tanhai mein bhi rehna majboori hai,
Logon mein bhi aana jana parta hai..

(qaul;promise)


Aside

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,
Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana,

Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan,
Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana,

Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana,

Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi,
Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana,

Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar,
Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana..


Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?

Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?

Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga
Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala

Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga
Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein

Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun

Apni Awaaz Se Dar Jaonga
Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun

Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga
Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”

Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga


Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam

Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam

Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam
Ham Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz

Yaadon Mein Kaheen Door Nikal Jaanay Ka Mausam
Lagta Hai Ke Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai

Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam
Ay Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham

Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam
Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ke Is Per

Barsaat Mein Bhee Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam
Chehre Pe Agarche Hai Mere Subaah Ka Ujaala

Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam


Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se

Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se
Bin Bulaaye Nikal Pade Ghar Se

Ek Tou Kuch Dasht Yaad Aatay Hain
Aur Wo Abar Jo Bohat Barsay

Koi Qaabil Nahi Bharosay Ke
Koi Mehfooz Hee Nahi Shar Se

Loog Tarsay Hain Paanion Ke Lye
Ham Magar Teri Pyaas Ko Tarsay

Aap Ko Yaad Hai Ke Hum Ek Din ?
Lout Aaye Thay Aap Ke Dar Se


Hijr Jaari Hai Aur Jeevan Hai Be-Qaraari Hai Aur Jeevan Hai

Hijr Jaari Hai Aur Jeevan Hai
Be-Qaraari Hai Aur Jeevan Hai

Khwaahishon Ke Ajeeb Mausam Mein
Aah-o-Zaari Hai Aur Jeevan Hai

Mustaqil Taig Raaigaani Ki
Zarb-Kaari Hai Aur Jeevan Hai

Dard Ne Mautabar Kia Mujh Ko
Burd-Baari Hai Aur Jeevan Hai

Ishq Ke Saamnay Mere Dil Ki
Inkisaari Hai Aur Jeevan Hai

Ek Ek Pal Howa Giraan Mujh Per
Saans Jaari Hai Aur Jeevan Hai

Haalat Ab Apni Ek Muddat Se
Iztaraari Hai Aur Jeevan Hai


Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai ?

Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai ?
Abhi Tak Sheher Se Rootha Howa Hai

Hum Kaisay Kahain Is Dil Ko Sacha ?
Hamaaray Saamnay Jhoota Howa Hai

Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Per….
Ye Sab Saamaan Loota Howa Hai

Tumhaaray Dil Mein Meri Chaahaton Ka
Koi Tou Beej Sa Phoota Howa Hai

Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se
Ye Dil Phele Se Hee Toota Howa Hai


Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Aain Tou Laut Aana

Abhi Nayi Wadiyoon,Naye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Aana

Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Kubhi Koi Daastan Sunain Tou Laut Ana

Naye Zamaanon Ka Kurb Orhay Zaeef Lamhay, Nidhaal Yaadain

Tumhaaray Khwaabon Ke Band Kamron Mein Laut Aain Tou Laut Aana

Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bhejta Hoon
Kay Achay Mausam Agar Paharoon Pe Muskurain Tou Laut Aana

Agar Andheron Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Jayein Tumharay Sathi
Aur Apni Khatir Hi Apnay Apnay Diye Jalain Tou Laut Aana

Meri Woh Batain TU Jin Pay Hansta Tha Khilkhila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulain Tou Laut Aana…..!


Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho “Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho
“Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”

Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De
Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ?

Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki
Tum Mere Rain Basairay Ho

Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka
Tum Daaku Chor Lutairay Ho

Kuch Bolo Ya Aazaad Karo
Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?


Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein Galti Ho Gayi Jawaani Mein

Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein
Galti Ho Gayi Jawaani Mein

Zindagaani Tou Jaisay Doob Gayi
Hijr Aur Gham Ki Be-Karaani Mein

Jaanay Kia Keh Gaya Hai Ashkon Ko
Aag Si Lag Gayi Hai Paani Mein

Ik Din Dil Hawaas Kho Baitha
Ik Choti Si Naagihaani Mein

Tajziya Hee Nahe Kiya Os Ka
Umer Beeti Hai Khush-Gumaani Mein

Oski Aadat Se Mujhko Lagta Hai
Koi Lazzat Hai Bad-Gumaani Mein

Ik Kashish Si Ajeeb Hoti Hai
Ishq Ki Saltanat Ki Raani Mein

Wo Mujhe Dekh Kar Bohat Khush Hai
Dukh Ke Sooraj Ki Saayebaani Mein

Ik Mohabbat Hai Aur Judai Hai
Umer Ki Mukhtasir Kahani Mein


Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein

Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein
Itna Sunsaan Na Tha Pehlay Nagar Baarish Mein

Dhul Gaya Lamhon Mein Saalon Ka Parra Gard-o-Ghubaar
Ho Gaye Aur Bhee Sar-Sabz Shajar Baarish Mein

Tujh Ko Maloom Nahi Royi Howi Aankh Ka Gham
Kar Ke Dekho Tou Kisi Shaam Safar Baarish Mein

Kam Tou Pehlay Bhi Nahi Tha Magar Ay Bichray Howay
Barh Gaya Aur Tere Gham Ka Asar Baarish Mein

Har Taraf Ek Udaasi Si Utar Aati Hai
Kisi Zindaan Mein Dhal Jaata Hai Ghar Baarish Mein

Ay Alamnaak Ghatao Ose Jaa Kar Kehna
Takta Rehta Hai Koi Jaanib-e-Dar Baarish Mein

Is Qadar Rasmi Hai Wo Shakhs Ke Bas Holay Se
Pooch Leta Hai Janaab Aaj Kidher Baarish Mein ?


Shehar Barbad Ho Raha Hai Abhi

Shehar Barbad Ho Raha Hai Abhi,

Aur Tu Hai Kay So Raha Hai Abhi,
Dekh Veeran Ho Raha Hai Jahan,

Aur Tu Daagh Dho Raha Hai Abhi..
Teray Andar Bhi Koi Dukh Main Hai,

Meray Andar Bhi Ro Raha Hai Koi..


Bicharnay Ke Zamaanay Aagaye Hain

Bicharnay Ke Zamaanay Aagaye Hain

Ose Kitnay Bahaanay Aagaye Hain
Udaasi Mein Ghar Se Rehtay Thai Jub Hum

Wo Saaray Din Puraanay Aagaye Hain
Nahin Hain Khush Gira Kar Arsh Se Bhi

Zameen Se Bhi Uthaanay Aagaye Hain
Wo Hum Per Muskuraanay Aagaye Hain

Naya Ek Gham Lagaanay Agaye Hain
Kisi Ki Mout Ke Aasaar Dil Mein

Sif-e-Maatam Bichaanay Aagaye Hain
Bata Do Mausam-e-Girya Ko Farhat

Ke Hum Ronay Rulaanay Aagaye Hain


Ye Jo Aansuuoun Mein Gharoor Hai

Ye Jo Aansuuoun Mein Gharoor Hai
Ye Mohabbaton Ka Fatoor Hai

Tera Aasmaan Qareeb Tha
Mera Aasmaan Tou Door Hai

Mujhe Keh Rahi Thi Wo Azam Se
Mujhe Tum Ko Paana Zaroor Hai

Ye Meri Shabeeh Nahi, Suno
Ye Tou Meri Aankh Ka Noor Hai

Tere Ishq Ka Teri Rooh Ka
Meri Wehshaton Mein Zahoor Hai

Meri Shayari Ki Ragon Mein Sab
Teri Chaahaton Ka Saroor Hai

Mujhe Apne Rutbay Ka iLm Hai
Mujhe Apne Gham Ka Shaoor Hai

Meri Rooh Gham Se Nidhaal Hai
Meri Zaat Hijr Se Choor Hai

Teri Naik Naami Mein Kaafi Kuch
Meri Be-Kali Ka Kasoor Hai


Ho Ke Barbaad Bhee Har Haal Mein Khush

Ho Ke Barbaad Bhee Har Haal Mein Khush
Ham Parinday Hain Tere Jaal Mein Khush

Tum Rahay Paas Hamaray Tou Rahay
Ham Mohabbat Ke Isi Saal Mein Khush

Dil Tou Zakhmon Mein Bhee Khush Hai Jaisay
Koi Panchi Ho Par-o-Baal Mein Khush

Dil Ko Fitrat Ke Taqaazon Se Samajh
Kis Qadar Tha Mein Teri Shaal Mein Khush

Dil Ko Tou Dil Se Khushi Milti Hai
Dil Rahay Ga Na Khad-o-Khaal Mein Khush


Gumnaam Dayaaron Mein Safar Kiun Nahee Kartay ?

Gumnaam Dayaaron Mein Safar Kiun Nahee Kartay ?
Ujray Howay Loogon Pe Nazar Kiun Nahee Kartay ?

Ye Khwaab Ye Khushion Bharay Hanstay Howay Ye Khwaab
Ye Khwaab Mere Dil Pe Asar Kiun Nahee Kartay ?

Khwaahish Ke, Tamaaniat-e-Ehsaas Ke Panchi
Kuch Roz Mere Ghar Mein Basar Kiun Nahee Kartay ?

Subhon Se Hain Maghloob Tou Phir Zaim Kaisa Hai ?
Raaton Pe Hain Ghalib Tou Seher Kiun Nahee Kartay ?

Ye Loog Musalsal Hain Jo Ik Khauf Ke Qaidi
Is Khauf Ki Deewaar Mein Dar Kiun Nahee Kartay ?

Kiun Aap Uthaatay Ho Udaasi Ke Ye Asbaab ?
Shaamon Ke Ghulaamon Ko Khabar Kiun Nahee Kartay ?


Wo Kuch Is Tarah Bhi Taqdeer Bana Daita Hai

Wo Kuch Is Tarah Bhi Taqdeer Bana Daita Hai
Dard Ki Rooh Ko Jaageer Bana Daita Hai

Ik Maseehai Utar Aati Hai Shairon Mein Mere
Koi Alfaaz Ko Taaseer Bana Deta Hai

Naqsh Karta Hai Ujaagar Meri Aawaazon Ko
Baat Karta Hun Tou Tasweer Bana Daita Hai

Aankh Maasoom Hai Laikin Koi Karni Waala
Hadaf Dil Ke Lye Teer Banaa Daita Hai

Ghair Laita Hai Nishanaat-e-Qadam Bhi Farhat
Ishq Ko Halqa-e-Zanjeer Bana Daita Hai


Mout Ka Aitbaar Kar Laitay ?

Mout Ka Aitbaar Kar Laitay ?
Do Ghari Intezaar Kar Laitay ?

Dard Mun Phair Kar Nahi Jaata
Dard Hee Ikhtiyaar Kar Laitay ?

Lout Kar Phir Yehi Howa Hota
Tum Kisi Se Bhi Pyaar Kar Laitay ?

Ay Mere Dil Kubhi Kubhi Koi
Shaam Hee Khushgawaar Karlaitay ?

Jhoot Ki Nokri Se Behtar Tha
Khud Ko Berozgaar Karlaitay ?


Mein Ne Dekha Deewanon Ko Shaam Ke Baad

Mein Ne Dekha Deewanon Ko Shaam Ke Baad
Dhoond Rahay Thay Weeranon Ko Shaam Ke Baad

Tareeki Phir Saaray Aib Chhupa Le Gi
Le Aana Ghar Mehmaanon Ko Shaam Ke Baad

Mein Ne Oska Sog Manaaya Kuch Aisay
Khaali Rakha Paimaanon Ko Shaam Ke Baad

Yaad Karay Jab Mujhko Teri Tanhai
Dekha Karna Guldaanon Ko Shaam Ke Baad

Farhat Chaand Ke Khauf Se Karlaita Hun Band
Kamray Ke Roshan Daanon Ko Shaam Ke Baad


Din Museebat Ke Tal Gaye Hotay

Din Museebat Ke Tal Gaye Hotay
Apna Rasta Badal Gaye Hotay

Dil Ki Wehshat Ne Barh Ke Ghair Lya
Warna Aagay Nikal Gaye Hotay

Tere Gham Ne Qadam Ukhair Dye
Warna Kab Ke Sambhal Gaye Hotay

Tum Ne Loogon Ko Kiun Tawajja Di ?
Apne Hee Aap Jal Gaye Hotay

Shukar Hai Hum Nahi Hain Din Warna
Shaam Ke Waqt Dhal Gaye Hotay


Aa Kisi Shaam Kisi Yaad Ki Dehleez Pe Aaa….

Aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pay aa
Umer guzri tujhay dekhay hoay, behlaye hoay
yaad hay?
hum tujhay dil mantay thay
apnay seenay mai machlta hoa ziddi bacha

tere har naaz ko oungli pakar kar aksar
nit naye khawab k bazar mai lay aatay thay
tere har nakhray ki farmaish par
ik jewan tamanna’oun ki beenaye say hum dekhtay thaktay he na thay,

sochtay thay
ik chota sa naya ghar
naya mahoul
mohabbat ki fiza
hum donoun
aur kisi baat pay takiyoun say larai apni

phir larai mai kabhi hastay hoay rou parna
aur kabhi rotay hoay hans parna
aur thak haar k gir parnay ka masoum khush bakhsh khayal

yaad hay?

hum tujhay sukh jantay thay
raat hans parti thi be-sakhta darshan say tere
dil teri duuri say rou parta tha

yaad hay?
hum tujhay jaan kehtay thay
teri khamoshi say hum mar jatay thay
teri aawaz say jee uthtay thay
tujh ko chu lenay say aik zindagi aa jati thi sharyanoun mai
thaam lenay say koi shehar sa bas jata tha weranoun mai

yaad hay?
hum tujhay milnay k liye
waqt say pehlay pochanch jatay thay
aur mulaqaat k ba’ad
hum bohat der say ghar aatay tau kehtay k humain khuch na kaho
hum bohat duur say ghar aaye hain
es qadar duur say aye hain keh shaid he koi aa paye

yaad hay?
hum tujhay bhagwan samajhtay thay magar kufar say dar jatay thay
tere chin janay ka dar theek say rakhta tha musalman humain

yaad hai? …… yaad hai?

aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pay aa
tere bholay hoay rastoun pay liye phirta hay iman humain
aur kehta hay keh pehchan humain

yaad hay?
hum tujhay iman kaha kartay thay


Husn-o-Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay

Husn-o-Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhaanay Nahi Rahay

Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Baad
Lagta Hai Oske Paas Bahaanay Nahi Rahay

Larzish Hai Haath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishaanay Nahi Rahay

Uthti Nahi Hain Shoq-o-Tajassus Ke Ba-Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay

Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay


Kubhi Safar Tou Kubhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kubhi Safar Tou Kubhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Ose Ziaada Zaroorat Thi Ghar Basaanay Ki
Wo Aake Mere Dar-o-Baam Le Gaya Mujh Se

Bhalaa Kahan Koi Juz Oske Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Awiz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se


Kabhi tamana ke raston par