A Man With Dreams…

Archive for September 17, 2011

Aur Kuch Nahi Badla…

aaj baad muddat k
mein nay uss ko dekha hai

woh zara nahin badli!
ab bhi apni aankhoon mein
so sawal rekhti hai

choti choti baatoon pe
ab bhi khul k hansti hai

ab bhi uss k lehjay mein
wohi khan.khanahat hai
woh zara nahin badli!!!!

ab bhi uss ki palkoon k
sayay geelay rehtay hain

ab bhi uss ki sochoon mein
mera naam rehta ha

ab bhi meri khatir woh
uss terha hi pagal hai
woh zara nahin badli!!!

aaj baad muddat k
mein na uss ko dekha hai

to mujhay bhi lagta hai

mein bhi uss k ichahat mein
uss terha hi pagal hoon

baad itni muddat k
or kuch nahin badla

juz hamaray rastoon k
or kuch nahin badla


Muhabbat Ki Aik Nazam

chupana raaz iss dil k
ager tum chor do jannan

tumhein mujh sa muhabbat ha
ager tum boil do jannan

to jeewan k safer mein
raasta asaan ho jayay

hamaray paas bhi jeenay ka kuch samaan ho jayay

wegerna hum

tumharay dil k derwazay k bahar
aas mein bethay rehain gay

tum kabhi to band derwazay ko kholo gi
meray shanay pe ser rekh ker

kabhi dheray sa bolo ge
”mujhay tum sa muhabbat hai”


haath hathoon mein jab tumhara tha

haath hathoon mein jab tumhara tha
khuwaab woh zindagi sa pyara tha

mein na dekhay thay khuwaab mein ansoo
yeh bhi shayad koi ishara tha

jo abhi aasmaan sa toota ha!!
woh meray bakht ka sitara tha

tum mujhay gher hi samajh letay
mujh ko yeh bhi sitam gawara tha

ik qadam bhi berha nahin koi
mein nay kis aas sa pukara tha

der reha tha jo bheer sa atif
iss ko tenhaiyoon na mara tha


kuch der pehlay neend say

kuch der pehlay neend say

kal raat janay kia HUA
kuch der pehlay neend sa

kuch ashk milnay aa gayay
kuch khuwaab bhi tootay huay

kuch log bhi bholay huay
kuch raasta bhatki hueen

kuch gard mein lipti hueen
kuch be terha pheli hueen

kuch khool mein simti hueen
be rabt se sochein kaee

bholi hui baatein kaee
ik shaks ki yaadein kaee

phir der tak jaga reha
sochoon mein gum betha reha

ungli se thanday farsh per
ik naam bas likhta reha

kal raat bhi woh raat thi
kuch der pehlay neend sa

mein der tak rota raha…


Ajab Pagal Si Ladki Hai, Mujhe Har Khatt Mai Kehti Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai

“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”

meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain

december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?

kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?

falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?

kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?

ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?

Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..

….

Jawaban ous ko likhta hooN..

meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain

mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti

sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai

farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN

ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN

mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai

mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN

poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain

ajab pagal si lerki ho

meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti

aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla

“tumhain main yaad aati hooN ?”

meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita

so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai

mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?


Is kadar na har baat yaron se poocho

Is kadar na har baat yaron se poocho
Jo baat raaz ki ho ishaaron se pucho

Lehron se khelna to samundar ka shauk hai
Lagti hai chot kaisi kinaaron se pucho

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto

Kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
AaNkhen to dushmanon ki bhi purnam hain dosto

Apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
Aapani talaash men to ham hi ham hain dosto

Kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
Kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto

Sab kuchh sahi `Faraz` par itanaa zaruur hai
Duniyaa mien aise log bahut kam hain dosto


10 Two Lines Poetry By Ahmed Faraz….

Bin Maange Hi

Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz”
Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad

Mere Lafzon Ki Pehchan..

Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz
Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

Shayed Khushi Ka….

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz,
Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!

Mere Jazbat…

Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ
Main pyar likhon to tera naam likha jata hai..

KuCh Andhera Bhi…

Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,

mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,

ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath

Apnay Siwa…

Apnay Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ ..
Hazar bar lee hain tumne mere dil ki talashiyaan

Haath Zakhmi Hoa…

Haath zakhmi hoa kuch apni he khata the faraz
maine kismat ke lakeroun ko mitana chaha

Us Se Milte He…

Us Se Milte He Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Gaya

Pyaar Ka Daava Karne.

Pyaar Ka Daava Karne Wale Hum Ne Dekhe Hain faraz…..!
Jinhen Hum Aziz To Hain Magar Apni Masrofiyat K Baad.

U Apni Mohabbat…

u apni mohabbat ka dawa na kia kar “faraz”

zinda tu wo bhi rahta hai jo muhabat nahi kerta


Mujh ko baaten kab aati hain

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir

Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?

Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?

Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.

Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???

Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke

Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta

Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho

Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To

Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati

Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..


Poetry – 1






Wo kehti hai sunoo jana

wo kehti hai suno jana,
muhabbat mom ka ghar hai,
tapish ye bad-gumaani ke, kahin pighla na de is ko,

mai kehta hun k jis dil mai, zara bhi bad-gumaani ho,
wahan kuch aur ho to ho, muhabbat ho nahi sakti,

wo kehti hai sada aise hi kya tum mujhko chaho ge,
ke mai is mai kami bilkul gawara kar nahi sakti,

mai kehta hun muhabbat kya hai, ye tum ne sikhaya hai,
mujhe tumse muhabbat ke siwa kuch bhi nahi aata,

wo kehti hai judai se bht darta hai mera dil,
ke khud ko tum se hatt kar dekhna mumkin nahi hai ab,

mai kehta hun yehi khad’she bohut mujh ko satate hain, magar sach hai muhabbat mai judai saath chalti hai,

wo kehti hai batao kya mere bin jee sako ge tum,
meri baaten, meri yaaden, meri aankhen bhula do ge,

mai kehta hun kabhi is baat ko socha nahi maine,
agar ek pal ko bhi jo sochun, to saansen rukne lagti hain,

wo kehti hai tumhe mujh se muhabbat is qadar kyun hai, ke mai ek aam si ladki tumhe kyun khaas lagti hun,

mai kehta hun kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho, meri dewaangi kyun hai, ye khud hi jaan jao gi,

wo kehti hai mujhe waraft’gi se dekhte kyun ho,
ke mai khud ko bohut hi keemti mehsoos karti hun,

mai kehta hun mata’ae jaan bht anmol hoti hai,
tumhe jab dekhta hun, zindagi mehsoos karta hun,

wo kehti hai mujhe alfaz ke jugnoo nahi milte, tumhe bat’la sakun dil mai kitni muhabbat hai,

mai kehta hun muhabbat to nigahon se chalakti hai,
tumhari khamoshi mujhse, tumhari baat karti hai,

wo kehti hai ke batao na, kisse khone se darrte ho, batao kon hai wo jis ko ye mausam bulaate hain,

mai kehta hun ye meri shayri hai aaina dil ka,
zara dekho batao kya tumhe is mai nazar aaya,

wo kehti hai ke atif jee, bohut baaten banate ho,
magar sach hai ke ye baaten bohut hi shaad rakhti hain,

mai kehta hun ye sab baaten, fasaane ek bahana hai, ke pal kuch zindagani ke, tumhare sath kat jayen,

phir us ke baad khamoshi ka dil’kash raqs hota hai,
nigaahen bolti hain aur lab khamosh rehte hain.


Kahaa Tha Naa……

Kaha Tha Na..!

Meri Khamoshiyoon Ko Tum
Koi Maani Nahi Dena
Judaai Ki Sabhi Batein Meri Aankhoon Me Parh Lena
Meri Is Muskurahat Me
Ager Mehsoos Ker Paao
To Mere Anso’oon Ki Tum Nami Mehsoos Ker Lena
Meri Sochein
Mere Alfaaz Ka Roop Leti Hein
Tumhara Aks Banta Hai
Meri Neendoon Me Jab Jab Ratjagoon K Deep Jaltey Hein
Tumhara Zikr Chalta Hai
Tumhari Yaad Maazi K Darichey Khol Deti Hai
Tumhari Shabnami Aahat Yeh Mujh Se Bol Deti Hai
Kaha Tha Na !
Humarey Darmiyaan Yeh Fasley Qismat Me Likhey Hein
Or Is Qismat Key Likhey Ko
Badal Tum Bhe Nahi Sakti, Badal Mein Bhe Nahi Sakta
Mager Mushkil Yehi Hai Hirj K Purpaich Rastoon Pr
Sanbhal Tum Bhe Nahi Saktein, Sanbhal Me Bhe Nahi Sakta
To Behtar Hai K Hum Ik Dosrey Ki Yaad Key Humraah Ho Jayein
K Ab K Is Muhabbat Se
Nikal Tum Bhe Nahi Sakti, Nikal Me Bhe Nahi Sakta
Suno Jana !
Tumhari Shabnami Aahat Mre Ander Dharakti Hai
Mager Jab Kaamshi Se Tum Koi Maani Leti
To Yeh Dil Rooth Jata Hai
Mere Ander Kahi Pr Kuch
Achanak Toot Jata Hai…!!!


Wo kehti hai udaasi tarq kar do ab

wo kehti hai udaasi tark kar do ab,

sitaare jo saja rakhe hain palkon per,
wujood unka mitta daalo,

puraane dard hon saare,
daroon-e-jan jinhe mehsoos karte ho,

tadapte ho, bhula do sab,

wo toote khuwaab saare, jo tumhe har pal satate hain,
jinhe taqdeer kehte ho, jala do ab,

ghumon se tod k nata likho phir geet khushiyon ke,
bahaaron ke, milaao apne kehkahe fizaaon mai,

mai sunta hun sab hi uski kahi baaten,

magar khamosh rehta hun,
kahun bhi to bhala kaise kahun us se

phool-e-dil ke aangan mai saje hain jo gulon mai dhal to sakte hain

ye aansu na-muraadi ke hansi ki orh ke chaadar labon par khil to sakte hain,

badal to sakta hai rung-e-maatam-e-maazi,
magar ye tab hi mumkin hai,

agar haathon mai mere haath ho tera,
muyassar saath ho tera,

wo kehti hai udaasi tark kar do ab,

Udaasi Tark Kardo Ab…!!!!


Bhalay Dino Ki Baat Hai, Bhali Si Ek Shakal Thi

bhalay dinon ki baat hai, bhali si ek shakl thi,

na ye ke husn taam ho, na dekhne mai aam si,

na ye ke wo chale to kehkashan si raah guzar lage,
magar wo saath ho to phr, bhala bhala safar lage,

koi bhi rut ho uski jab, fiza ka rung roop thi,
wo garmiyon ki chaon thi, wo sardiyon ki dhoop thi,

na aisi khush’libaasiyan ke saadgi gila kare,
na itni be-takallufi ke aaina haya kare,

na aashiqi junoon ki ke zindagi azaab ho,
na is qadar kathor’pan ke dosti kharab ho,

so ek roz kya huwa, wafa pe behes chidd gayi,
mai ishq ko amar kahun, wo meri zidd se chidd gayi,

wo ishq ka aseer tha, wo ishq ko kafas kahe,
ke tamam umar k saath ko, bad’tar azhawis kahe,

hijar shajar nahi hai ke hamesha paa’bagul rahe,
na dhol hai ke rasiyan, gale mai mustaqil rahen,

muhabbaton ki wus’aten, hamare dast’o’pa mai hain,
waseeq darse nisbaten sajan be-wafa mai hain,

tumhari soch jo bhi ho, mai is mizaaj ki nahi,
mujhe wafa se bair hai, ye baat aaj ki nahi,

na us ko mujh pe maan tha, na mujhko us pe zaum tha,
jo ahed hi koi na ho, to kya ghum-e-shikastagi,

so apna apna rasta, hansi khushi badal liya,
wo apni raah chal padi, mai apni raah chal padha….


Ajab sa rabt hai hum mai

Ajab sa rabt hai hum main, na ek doojay ko dekha hai,
Na ek doojay ki awazoo main, ek doojay ko dhoonda hai,

Tumhain jo kuch kaha maine isay tum sach samajhti ho,
Mujhe jo kuch kaha tum nay isay main sach samajhta hon,

Isi ek chat window main,
Hum ek doojay k jeevan k her ek mausam main rehte hain,

Ajab sa rabt hai hum main, ajab se yeh mohabbat hai,
Jisay tasveer aur awazoo se kuch nahi laina,

Jisay khuwahis nahi koi……………..
Kisi ko roobaro dekhain, kisi awaz ko pojay,

Mohabbat ki shabahat ko, kisi anmol saet ko,
Kisi k aks main dhoonday…………

Ajab se yeh mohabbat hai………!

K jis main lafz kehte hain aur akhein kuch nahi kehte,
Yeh lafzoo se behalti hai yeh in main sans laite hai,

Yeh in bejan tasveeron main kitne rang bharti hai,
Ajab sa rabt hai hum main, ajab se yeh mohabbat hai,

Jisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahi laina,
K jo palko pe cahat k hazaron khuwab likhti hai,

Tumharay aur meray darmiyan jo sans laite hai,
Ajab se yeh mohabbat hai…………………………..!!!


Suna Hai Yaad Krtay Ho

Suna Hai Yaad Krtay Ho
Key Jab Bhi Shaam Dhalti Hai
Hijr Main Jaan Jalti Hai
Tum Apni Raat Ka Aksar
Sukoon Barbaad Krtay Ho
Suna Hai Yad Krtay Ho

Jab Panchi Loat Ate Hain
Ghamo Ke Geet Gate Hain
Suno! Tum Lout Aao Na
Yehi Faryad Krte Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho

Sitaare Jab Falak Pe Jagmagate Hain
Woh Beetay Hoe Pal Khob Rulate Hain
Tum Us Dam Apni Aankhon Main
Mujhe Aabad Krtay Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Mujhe Tum Yaad Krtay Ho


Kabhi mai yaad aaon to

Kabhi Main Yaad Aaon To…….

Mujhe Bas Itna Kehna Hai, Kabhi Main Yaad Aaon To
Kabhi Tanhai Ki Raaten Tumhen Zyada Satain To

Kabhi Titli Na Bole To,Aur Jugnoo Lout Jain To
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jay,Koi Jab Sun Na Pay To

Kabhi Jab Dost Sathi Bhi Jo Tum Se Rooth Jain To
Kabhi Jab Khud Se Larkar Thakan Se Choor Ho Jao To

Kabhi Chahte Hoe Bhi Khud Akele Ro Na Pao To
Apni Aankhon KO Band Karna Mujhe Awaz De Dena

Phir Mere Tasawur Se Jo Chahe Baaten Keh Dena
Mere Kandhe Pe Sir Rakh Kar Tum Jitna Chahe Ro Lena

Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main Humen Dil Se Pukaro Ge
Hamain Tum Saath Pao Ge….


Jab Shaam Dhale To Tera Naam Yaad Ata He.

Jab Shaam Dhale To Tera Naam Yaad Ata He.
Jab Saans Chale To Tera Naam Yaad Ata He.

Ankh Band Hoti He To Khaboon Main Hote Ho.
Jab Ankh Khole To Tera Naam Yaad Ata He.

Khamooshi Main Naa Jane Kaisi Ahat Sunta Houn,
Jab Lab Hele To Tera Naam Yaad Ata He.

Ab Bhi Purane Pholoon Ko Kitaboon Main Dekhta Hou,
Jab Phool Khile To Tera Naam Yaad Ata He.

Azaab Yeh Bhi He K Koi Pal Bhoola Nahin.
Tanha Dil Jale To Tera Naam Yaad Ata He.

Us Sheher Main Our Un Sab Purane Yaaroon Main.
Jab Koi Mile To Tera Naam Yaad Ata He.

Jo Saat Hota Tha Tere Wo Ab Kahaan Ha,Shamas.
Hotin Hain Gile To Tera Naam Yaad Ata He


Tere Yaad Ane Se Tere Sath Chalne Tak

Tere Yaad Ane Se Tere Sath Chalne Tak
Tere Roth Jane Se Mere Ankh Bharne Tak

Har Ik Se Goftgo Har Ik Se Ki He Bat
Moskurane Se Chop Chap Rehne Tak

Absharon Ki Tarha Mehak Or Chamak
Chodan Chand Se Likar 1 Hone Tak

Baton Or Dil Ki Goftgo Or Or Thi
Janane Se Lekar Anjan Hone Tak

Ajeeb Silsila Chala He Ab Dekhte Hain Age
Sobha Ki Sorkhion Se Sham Hone Tak

Har Din Ki Alag Alag Pehchan Kar Daekhain
Dhnak Ki Siyahi Bam Hone Tak

Lafaz Nahi Malom Likhna Nahi Ata Neelam
1 Lafz Se Kahani Tmam Hone Tak


Ashq Reh Reh Kar Meri Aankhon Se Bahey Jaate Hain

Ashq Reh Reh Kar Meri Aankhon Se Bahey Jaate Hain
Yeh Woh Mehmaan Hain Jo,Bin Bulaye Chale Aate Hain

Hijar Ke Mausam Mein Dilon Ka Sisakana Saari Raat
Shama Khamosh Hai Magar Ham Tau Jale Jaate Hain

Baat Kehni Thi Nermi Se Magar Zubano Ki Talkhi
Lafz Kharon Ki Tarah Dil Mein Chubhe Jaate Hain

Meri Bebasi Pe Rota Hai,Barasta Aasman Abhi Bhi
Yeh Woh Baadal Hain Jo Aahon Se Buney Jaate Hain

Aaj Phir Tere Dil Ne Humein Tarap Kar Pukara Aise
Bina Rahon Ke Kadam Teri Janib Uthey Jaate Hain


Tumhari yaad mai jana

Tumhari Yaad Main Jan
Kabi Anso Bahaie Hain

Kabi Deep Jalae Hain
Tumhari Yaad Main Jan

Kabi Manga He Rab Se
Tumhare Lie Kie Sajde

Rat Ankhon Main Gozari He
Tumhari Yaad Main Jan

Aj Q Tum Nahi Haste
Aj Q Log Pochte Hain

Main Ne Jo Deep Jalae Hain
Tumhari Yaad Main Jan

Ajj Ki Bat Sono To
Meri Chorian Chamkti Rahain

Raat Bhar Khnkti Rahain
Tumhari Yaad Main Jan

Tum Ko Bohat Pokara B
Khod Ko Khob Pokara B

Main Jo Itna Sajti Rahi
Tumhari Yaahd Main Jan

Tum Ko Boht Swara B
Khod Ko Khob Swara B

Main Jo Itna Sajti Rahi
Tumhari Yaad Main Jan

Khod Ko Tum Se Jor Lia
Donia Se Nata Tor Lia

Main Khialon Ki Tasbi Karti Rahi
Tumhari Yaad Main Jan

Kab Muje Tum Se Shikayat He
Is Dil Ko Tum Se Mohbt He

Ye Alfaz Dihrati Rahi
Tumhari Yaad Main Jana


Qismat Main Meri Ussay Likh Dain Yay Khwaab Ho Ga

Qismat Main Meri Ussay Likh Dain Yay Khwaab Ho Ga
Meri Qismat Ko Sanwaar Dain Tera Ahysaan Ho Ga

Ussay Hum Chahtain Hain Itna Uss K Bina Jee Na Paaiy
Wo Na Milee Toh Hum Kisse K Ho Na Paaiy

Wo Meray Zahan Par Chahi Hain Har Pal Guzrtain Lamho Ki Tarha

Aankhain Jab Band Karta Ho Aatain Hain Sapnay Uss K
Main Chahta Ho Uss Ko Itna Na Chahain Apnay Uss K

Meri Baaqi Zindagi Ko Uss K Bina Jeenay Ka Naam Na Doun Farooqi
Main Toh Abhi Bhi Aas Main Hou Uss Ko Paanay K Leyay


Faasale Aise Bhii Honge Ye Kabhii Sochaa Na Thaa

Faasale Aise Bhii Honge Ye Kabhii Sochaa Na Thaa
Saamane Baithaa Thaa Mere Aur Vo Meraa Na Thaa

Vo Kisi Khushbuu Kii Tarah Phailaa Thaa Mere Chaar Suu
Main Use Mahasuus Kar Sakataa Thaa Chhuu Sakataa Na Thaa

Raat Bhar Us Kii Hii Aahat Kaan Me.N Aatii Rahii
Jhaank Kar Dekhaa Galii Mein Koi Bhii Aayaa Na Thaa

Aks To Maujuud The Par Aks Tanahaaii Ke The
Aainaa To Thaa Magar Us Mein Teraa Cheharaa Na Thaa

Aaj Us Ne Dard Bhii Apane Alahadaa Kar Diye
Aaj Main Royaa To Mere Saath Vo Royaa Na Thaa

Ye Sabhii Viiraaniyaan Us Ke Judaa Hone Se Thii.N
Aankh Dhundhalaai Huii Thii Shahar Dhundhalaayaa Na Thaa

Yaad Karake Aur Bhii Takaliif Hotii Thii “Adeem”
Bhuul Jaane Ke Sivaa Ab Koi Bhii Chaaraa Na Thaa


Khabon Ki Terha Ankhon Main Utar Jana Naheen Ata

Khabon Ki Terha Ankhon Main Utar Jana Naheen Ata
Main Kia Kerun?Mujhey Talukat Nibhana Naheen Ata

Ghum-E-Yar Key Siwa Is Dil Main Rukha Kia Hey
Mujhey Khusk Ankhon Sey Zaar Zaar Rona Nahen Ata

Pichlay Pehar Ki Bat Hey Tum Jo Yaad Ai Mujh Ko
Phool Bun Key Unchoi Kali Ko Khilana Nahen Ata

Sukut-E-Shub Main Jaag Rahi Hon Main
Masiha Bun Key Kisi Key Dil Main Uter Jana Nahen Ata

Muskurahet Chin Gai Hey Lubon Sey Is Terha
Sur Bun Key Mujhey Dhemey Say Gungunana Naheen Ata

Rug_E_Jaan Sey Kareeb Hey Jo Meri
Dil Say Dil Tuk Pegham_E_Wafa Pouhchana Nahen Ata

Batana Bhi Chahon Apney Dil Ki Baat Us Ko
Far_E_B Tabusum Sey Kisi Ko Behlana Nahen Ata